Total Pageviews

Saturday, 24 March 2012

badlte log badlti zindagi

na koi hai mere sath na koi hoga, 
yadon ka hi boj uthana hoga, 
jise chaha wo hame bhul gaya, 
or hame chahna to har koi bhul gaya, 
na kabhi koi maila tha na mila hai, 
mujhe zindagi se bas akelapan mila hai, 
pahele laga mailega kisika sath, 
hoga unke hath me mera hath, 
tab hame koi khas mila, 
or badhne laga baton ka silsila, 
baton ki nazakat hi krti thi sab bayan, 
unke labzon ki zarurat hi thi kahan, 
humne kaha socha tha ye bate kahi kho jayengi, 
kuch hi pal me wo humse khafa ho jayengi, 
humse pata nai kya hui khata 
k wo humse khafa khafa 
hum to ab tak hai uski as me 
wo hai kisi or k pas me 
hum to unhe nai bhul payenge, 
yadon k sahare is zindagi ko jee jayenge, 
ab to mai tanha raheta hu, 
or bas yahi sochta raheta hu, 
ye kaisi saza hai ye zindagi... 
or pata nai q badlte hai log or badlti hai kisiki zindgi.... 

"Dil ki awazz"


Aj unke liye hum kuch likhna chahte hai,
jaise hi unke bare me sochte hai,
unko baya krne k liye alfaz kam pad jate hai,
unke pasyad krne ka b waqt nai,
jb ki hum unki har yad ko hi yad krte rah jate hai,
unko dkhne ki fursat nai hum ek jhalak ko b taras jate hai,
pata nai q hum bhul nai pate hai,
or kch to nai bas likhte hi rah jate hai.
kisi ne sach hi kaha hai sacha pyar krne wale akele rah jate hai..
zindagi wo le jati hai orhum to maut ko b nai pate hai,
pata nai log kisi pyar krne wale se kaise muh mod jate hai,
apni zindagi abad or kisi ki barbad kr jate hai...

"JUDAAI"


Zindagi k is mod pe,
wo chale gaye hume chod ke,
lautne ka koi wada na tha,
shayad aisa unka irada hi na tha,
duriyan pyar ko badhatihai,
par iske liye wo dil me pyar bhi mangti hai,
dil me pyar hota to wo ek bar to ate,
hume apnane nai to thukrane hi ate,
par wo to hume bhul gaye ekmajak samaj kar,
or hum unhe chah baithe sb kch bhul kar,
log kahete hai waqt rahete sb bhulaya jata hai,
par apni zindagi ko bhi bhala koi bhul pata hai....

"Kaun ho tum????"


Ab tumse kya bayan kre hum,
Mere liye kya ho tum,
bs itna jan lo k
Mera ishq meri mahobbat ho tum,
mere dil ki paheli hasarat ho tum,
meri khushiyon ki ahat ho tum,
mere dil ki paheli chahat ho tum,
meri zarurat meri adat ho tum,
ya khuda se mangi hui koi ibadat ho tum,
meri har sans me basi mahek ho tum,
mere ruh ki chahek ho tum,
mere jine ki kashish ho tum,
meri kbhi na khatm hone wali koshish ho tum,
mere hothon pe basa hasin tarana ho tum,
zindagi jine ka hasin bahana ho tum,
mujhe nai malum kiske liye banai gai ho tum,
par khuda kasam meri zindagi ban gai ho tum.....

"Ehsas-e-dil"


Pyar krte hai par jata nahi skte,
akele me rote hai par bata nahi skte,
Socha tha pyar zindagi ka maza hai,
par mere liye to bani ye ek saza hai,
jinko chaha use hum paa nahi skte,
or ab to unko bhula bhi nahi skte,
mere par to the andheron ka saya,
par jb wo meri zindagi me aya,
mujhe dikha roshni ka nazaara,
par usko to tha bas mjhe tadpana,
par main to us roshni ki chah me,
badh chala uski rah me,
par maine ye kb socha tha,
k ye to bs meri ankhon ka dhoka tha,
ab to wo mere dil me aise hai basi,
k har taraf hai ye bebasi,
unko humari halat ka ahesas nahi,
or mere pas unko pane ki aas nahi,
tanhaiyon me simta ab mera jahan hai,
mjhe bhi nahi malum manzil kahan hai,
wo aye na aye par ye dil use hi bulata hai,
unhe kya malum ye deewana unhe kitna chahta hai........

Monday, 26 September 2011