Total Pageviews

Saturday, 7 September 2013

Na dekh mujhe k tu bas dekhta reh jayega
mai to chali jaungi apne raste tu mera rasta takta reh jayega

"Ye meri zindagi...."(by nick)

Tere jane k bad ab meri ye kahani hai
k sansein chal rahi hai par na koi zindagani hai
mai age badh raha hu par na koi rasta hai
meri halat par mera dil khud hi hasta hai
zamane ko dikhane ko to mai bhi muskurata hu
unhe kya malum ye muskurahat kaise lata hu
ye bhi sach hai ki main is gum ko sah nahi sakta
par apne dosto k samne ro bhi nahi skta
wo kahete hai tera dil q use hi hai chahta
agar mai khud janta to unhe bhi batlata
wo kahete hai tu use bhula q nahi deta
par kash ye bhi mumkin ho pata
wo to hume dekh kar bhi andekha kar jate hai
or hum to unki maujudgi ko bhi mahsus kar pate hai
ho gaya hu naraz ab mai khud se
or puchta hu mere khuda se
agar milna hi nahi tha to q milwaya hume unse
or pyar krwaya mere dil se
ab to mujhe nahi raha meri mahobbat pe aitbar
khuda jane wo meri pasand hai ya pyar....

"Intezaar".....by nick

Jab maine kaha mere khuda se,
ab to mila de mujhe mere pyar se,
main to bezar hu unke ek didar se,
to usne kaha tu to ab tk mila hi nahi apne dildar se

maine pucha to hume unse hua wo kya tha,
to khuda ne kaha han wahi pyar tha,
lekin wo to sirf tere dil ka iqrar tha,
abhi to is pyar ko unke dil me bhi jagana tha

tu unke piche or mat bhag,
unki yadon me or mat jag,
jb unke dil me bhi jagegi ye pyar ki aag,
tb wo bhi samjegi tere pyar ka rag

ek din unko bhi hoga tujhse pyar,
us din banega wo tera dildar,
tb jee bharkar krna unka didar,
tb tak tu kar unka intezar....

"Ehsas-e-dil"....by nick

Pyar krte hai par jata nahi skte,
akele me rote hai par bata nahi skte,
Socha tha pyar zindagi ka maza hai,
par mere liye to bani ye ek saza hai,
jinko chaha use hum paa nahi skte,
or ab to unko bhula bhi nahi skte,
mere par to the andheron ka saya,
par jb wo meri zindagi me aya,
mujhe dikha roshni ka nazaara,
par usko to tha bas mjhe tadpana,
par main to us roshni ki chah me,
badh chala uski rah me,
par maine ye kb socha tha,
k ye to bs meri ankhon ka dhoka tha,
ab to wo mere dil me aise hai basi,
k har taraf hai ye bebasi,
unko humari halat ka ahesas nahi,
or mere pas unko pane ki aas nahi,
tanhaiyon me simta ab mera jahan hai,
mjhe bhi nahi malum manzil kahan hai,
wo aye na aye par ye dil use hi bulata hai,
unhe kya malum ye deewana unhe kitna chahta hai........

"Badalti Zindagi"....by nik
waqt laga hai par humne ab jina sikh liya hai
ab humne unki yad me pal pal marna chhod diya hai

dhundh li hai apni rahein ab humne age badhana sikh liya hai
ab humne teri rahon me tera intezar karna chhod diya hai

matlab samje hai zindagi ka ab humne khush rahena sikh liya hai
koi keh dena unse ab humne unki yad me dukhi hona chhod diya hai

nafrat krke q taklif dun mere dil ko maine naya tarika sikh liya hai
k ab to maine mahobbat karna chhod diya hai

koi na samjhe mere jazbaton ko maine unhe chupana sikh liya hai
qki ab maine apne ahesason ko jatana chhod diya hai

apno ki khushi k liye ab maine jina sikh liya hai
shayad ab maine apne liye jina chhod diya hai

Monday, 25 June 2012


har waqt ye chaha k ab bhula du tuje
par kya kru chahkar bhi tujhe bhula nahi skta,
chahu to apne dil ki baton se rula du tujhe,
par apni khushi k liye tujhe rula bhi nahi skta......



Kyun wo mujh pe itna sitambh kiye ja raha hai
dekh raha hai fir bhi andekha kar raha hai
phir bhi ye dil unhi se mahobbat kiye ja raha hai
ishq k aitbar pe zinda to hai par unki berukhi se har pal mar raha hai.....